Samsung mobile Orignle Or Fake| Also Check These Interessting features.

Aj Kal Mobiles Ki Itni Copies Ban Rahi Hain Ke Kuch Andaza Nhi Hota k Kaonsa Mobike Orignle Hai Aor Kaonsa Fake Ham Koi Fake Mobile Ko orignle Samajh Kar Le To Lete Hain Lakin Hamen Pata Us Time Lagta Hai Jab Mobile Dookan Par Bechne Jain ke Ye Mobile Orignle Nhi Hai Isliye Main Aj  main Ap Ko Bataonga Ke Kaise Pata Chalta hai Ke Samsung Mobile Orignle Hai Ya fake Jis Se Ap Asani Se Samajh sakte Hain ke Samsung mobile Orignle Hai Ya Fake Aor sath Hi kuch Intresting Features..


Samsung Orignle HaibYa Fake Kaise Dekhen

*#0*# Ye Code Dial Karen Agar Ye Code Milane Ke Bad Ye Menu Khul Jai To Ap Ka Samsung Mobile Orignle Hai Warna Nakli ↓


 

Is Menu Men Green,Red,Blue,vibrate,Touch,speaker,Mega Cammera,Reciver,Sensor,dimming,Sleep Ka option Hota Hai Ab sab Option Yahan Se Check Kar Sakte Hain..

Samsung Mobile lene Se Pehle Ye Feature Zaror Check Karen


Colour

Is Main Blue,Green,Red Colour Hain Jis Colour Par tap karenge Pori Screen usi Colour Ki Hojaigi For Example Agar Ap Ne Red Colour Chose Kia To Ap Ki Pori Screen Red Hojaigi..

Reciver

Reciver Par Tap Karen Ap Ko beep Ki awaz sunai DegiIska Matlab Ap Ke Mobile Ka reciver Bilkul Theek Kam Karha hai Agar Ap Ko Awaz sunai Na De to iska Matlab Ap Ka Reciver Kharab Hai
Ise Band Karne Ke Liye Back Ka button Ya Screen Par Touch Karen..

Vibration

Vibration Par Tap Karen Is Se Ap Ka Mobile Pora Vibrate Hona Shuru Ho Jaiga Is Se Ap ApNe Mobile Ki vibrate Performance Dekh Sakte Hain Ise Band Karne Ke Liye Back Ka Button Istimal Karen

Dimming


Dimming Par Tap Karen Ise Ap ke Mobile Ki Screen Dim Hojaigi aor 3 Part Main Ap ki Screen Devide hoaigi Matlab Ap Ki Screen Par 3 Colour Show Honge

Mega Cam

Mega Cam Par Ap Apne Cammera ki Performance dekh Sakte Hain Yahan Par Ap focus Zooming Ao sab Kuch Try Kar Sakte Hain Mobile Ke Cammera Ka Result

Sensor

Sensor Par Tap Karen Ab Ap mobile Ka sensor Check kAr Sakte Hain.

Touch

Touch Par Tap Karen Ab Ap Mobile ka Touch Dekh Sakte Hain Yahan Par Ek Box Ajaiga Jis Ap Ne fill Karna hota hai aor Is se Touch Ka Bhi Pata Chal jata Ha K touch Kitna Acha Kam Karha Hai

Sleep

Sleep Par Tap Karen Ab Apka Mobile Sleeo Mode Main Chala Jaiga Ise Wapas normal Mode Men Lane ke liye Power Button Ya Home Buttone Use Karen

Speaker

Speaker par Tap Karen Ab Ap ko tune Sunai Jaigi Jis Se Ap Mobile Ka Speaker Check Kar Sakte Hain..

0 comments:

Post a Comment

Thanks..

Powered by Blogger.