Smart Phone ka pattren Unlock Karne ke Methods..
4:- Google account Den Jo Ap ne Mobile Ya Play Store Par Diya ta To Ap Ne "Email Aor Password" Dena Ha Jb Ap Email Aor Password denge Usi Time Password Unlock Ho Jaiga..
Hello "FreeHindiHelp" Visitor Aj Main Ap Ko bataonga K Jab Ap Ko apne Smart
phone Ka "Pattren" Bhool Jai To Use Kaise "Unlock" Kia Jai
Main Aise 2 Method Bataonga Jis se Ap Ghar Baithe Unlock Kar sakte
Hain
Because Aksar ham Koi Bara Pattren Code Lagate Hain Hamain Bhool Jata Hai
Ya Kabhi Bache Ya koi Ap Ke Mobile Se Khel Raha ho To Ghalti Se Koi "Passwors"
Lag Jata Aisi Situation Main Ap "Mobiles Dokan" Par Chale Jate Hain Is Se Ap Ka
Paise Aor time Donu Zaya hojate Hain Aor Sath Main Ap Ka "Data" Bhi Chala Jata
hai Aisa Na karain Agar Ap Ko Pattren Lock Bhool Jai Ya ghalti Se pattren Lock
Lag Jai to Ap Khud Use Unlock Kar Sakte Hain Woh Bhi Bil Kul Easy Steps K Sath
Ap Ko Karna ye Hai meri Batoun ko Follow Karte Rahen Main Ap Ko 2 method Bata
raha houn Jis Se Ap Pattren Lock Ko Unlock Kar Sakte Hain
1:- Ap Ne Play store Pa jo Google Account Dia Us Se
2:- Aor pattren ko unlock Karne K Liye Factory Data reset Karne Se..
1 Unlock With Google Account.
1:- Jis Mobile Ka Lock Unlock Karna Ha Us Ka Pattren Kuch time Tak Ghalat
Milate Raho (Takreeban 6 baar)
2:- Ghalat Code Bar Bar Milane se ek Option Aiga Ke 30 Second Wait Karain
Ap "ok" Kar Dain.
3:- Ab Neche Ek Option Show horha Hoga "Forget Password" Ap Use Select
Karain.
4:- Google account Den Jo Ap ne Mobile Ya Play Store Par Diya ta To Ap Ne "Email Aor Password" Dena Ha Jb Ap Email Aor Password denge Usi Time Password Unlock Ho Jaiga..
NOTE:-
Method Se Ap Ka Personal "Data" Bilkul Safe
Rahega Is Method Ko Use Karne K Liye Ap Ko Google Account ya Pin Code Yaad Hona
Chahiye Agar Ye Donu Main se Koi Yaad nhi Hai To Ap To Ap #2 Method Parhiye.
↓↓
2 Restore Kar Ke Unlock karain.
1:- Apna Mobile Switch Off Karain.
2:- Ab Home Button+Power button+Volum Up Button Ek Sath Dain (Jin Mobile Ka
home Button Nhi ha To Unka Power button Aor Volum Uo Ka Button Ek Sath Dabain.
3:- In Teenoun Button Ko Dabai Rahe Jab Tak Mobile On Na Ho.
4:- Ab Screen Par Android System Recovery Ka Option Aiga Yahan Par Ek List
Bani Howi Hogi.
5:- Koi Bhi Option Choose Karne Ke Liye Volume Up Aor volume Down Ka use
Karain.
6:- Ab Factory Reset Ka Option Choose Kar K ek Bar Power Button Daba Dain
Ab Restore Hona Shuru Hojaiga Jab restore Hojaiga to Ap Ko Apna Smart Phone Par
koi Pattren Nazar nhi Aiga.
Note : YE method Use Karne Se Ap Ka All data Delete Ho jayega.
0 comments:
Post a Comment
Thanks..