Puri Duniya Men Android Phone Ziyada Use Kia Jarha Hai Ap Ne dekha Hoga Har Dosre Insan Ki Choise Android Mobile Hai Aor Shayad Ap K Pass Bhi Android Mobile Hoga Android Ko Log Ziyada Pasand Kion Karte Hain Is Ki Waja Hai Android Mobile Ki Performance Speed Kafi Achi Hai Aor Android Ek Time Men Bahut Sari Application Chala Sakta Hai Mere Kehne Ka Matlab Ap Ne Koi Browser Par Koi FilebDownloading Horhi Hai To Ap Ko Koi Message Ajai To Ap sms Khol Sakte Hain Is k Ilawa Ap Aor Application Chala sakte Hain song Sun Sakte Ho Ap Sab Kuch Chala Sakte Hain Aor Ap Ki Download bhi Horhi Hai Mere Batane Ka Pora Maqsad Ye hai Ap Android Pe ek Sath Sab Kuch Chala Sakte Hain Aor Inhi Ki Waja Se Battery Bhi Ziyada Use Hoti Hai Battery Ka Jaldi Khatam (Low) Hojana Ye Android Phone Men Common Problem Hai Aj Kal Itne Badiya Se Badiya Android Mobile Arhe Hain Lakin Un Men Bhi Battery Jaldi Low Hojana Ki Problem Bhi Hoti Hai Is Liye Main Kuch Tips/Tricks Dounga Jis Se Ap Batter Kafi Had Tak Save Kar Sakte Hain
1 Brightness.
Battery Save Karne K liye Brightness Low Hona Bahut Zaroori Hota Hai Aam Taor Par Ap Brightness Men Auto Mode Select Kar Len Us Se Ye faida Hai K Jab Ap Aise Jaga Honge Jahan Lighting Hogi Ap K Mobile Ki Brightness Automatic ziyada Hojaigi Agar Ap Andhere Men Houn To Ap K Mobile Ki Brightness Khud Low Hojaigi Agar Ap K Mobile Men Brightness "Auto" Ka Option Nhi Ho To Ap khud Brightness "Low,High" kar Sakte Hain2 Overload.
■Overcharge Karne Se Ap Ne Smart Phone Ko Bachaye Mere Kahne Ka Matlab Jab
Mobile Ki Battery Full Ho Jati Hai Phir Bhi Ap Ka Mobile Charging Pe Laga Rehta
Hai Aisi La Parwai Se Bachen Is Se Hardware Aor Battery Par Bad effect Hote
Hain
■Mobile Ko Bar Bar Charging Par Mat Lagain Ap Kooshish Karen Jab Ap K
Mobile Ki Battery 15% Ho To Mobile Ko Charging Par Laga Len Jab 100% Mukamal
Hojai To Ap Ise Unpluged Kar Len Aisa Karne Se Ap k Mobile Battery Timing Bharh
Jaigi
■Battery Charge Hote Time Mobile Ko Use Na Karen Is Se Ap K Mobile Ki
Battery Timing Khatam Ho Sakti Hai
3 Application band Karlen.
Jaisa K Ap Jante Hain Ham Android Phone Men Ek Hi Waqt Men Bahut Sari
Application,Audio Etc Agar Ham Koi Game Khel Rahe houn Aor Ham Game Se Thak Jain
To Ham Use Mukamal tarike Se Band Nhi Karte Hain Ham Sirf Unhen Minimize Kar
Dete Hain Hamen Chahiye Use Mukamal Taor Par Band Karlen Is se Bhi Hamari
Battery Ziyada Time Tak Chalegi
Minimize Application Kaise Band Karen
Chand Second K Liye Power Button Dabaye To Sab Application Ajaingi Jo
Minimize The Unhen Band Kar den
4 Hd Wallpaper.
Kabhi Bhi Ap Koi Hd Picture Walpaper Par Na Lagaye Is Se Battery Ziyada
Kharch Hoti hai Ap Ko Chahye K Mobile Men Jo Pehle Se Diye Gay Simple Walpaper
Hain Wahi Use Karen
5 Screen Timeout Set Karen.
Screen Timoute Pe Hamen Time Select Karna Hota Hai K Jab Ham Mobile Use Na
kArhe Houn To Kitna Time K Bad automatic Mobile Lock Hojay Agar Ap Ko Battery
Save Karni Hai To Ap Ko Chahiye K Ap Ap ne mobile Men screen Timeout 15 Second
Par Set Karen
Screen Timeout Kaise Set Karen
Setting>Accesibility>Screen Timeout>15 Second
6 Orignle Charger.
Hamesha Ap Ko Chaiye K Mobile Ka Orignle Charger Use Karen is Se Ap Ki
Battery Li Life Ziyada Hojati Hai Agar Ap Koi Aor Charger Use Karte Hain Is Se
Ap Ka Batter Bhi Der Se Charging Hogi Aor Battery Low Bhi Jaldi Hojaigi Aor
Battery Ki Life Bhi Thori Hojaigi Ab Ap Ko Samajh Agiya Hoga K Orignle Charger
Kitna Inportant Hai Is Liye Hamesha orignle Charger Use Karen
7 Common Mistake.
Ye To Common Mistake Hai Maine Aksar Logoun Ka Mobile Dekha hain Jin K
Mobile Par Aksae Wifi,Hotspot,Mobile Data,Bluetooth In Men Se Koi Na koi Cheez
Zaroor Chali Howi Hoti Woh Bhi Us Waqt Jab In Ka istimal bhi Nhi Ho Raha Hota In
Se Ziyada Se Ziyada Batery Use Ho Rahi Hoti Hai Ye Mistake Takreeban Ap Bhi
Karte Hain Agar Ap Chahte Hain Ap K Smart Phone Ki Batter Ziyada time Tak Chale
To Aisi Mistake Se Hamesha Bachen
8 Wifi.
Jahan Ap k Pas Wifi Availible Ho To Wahan Mobile Data use Na Karen Balke
Wifi se Internet Chalain Shayad Ap Ko Maloom Hoga K Khas Taor Par Android Phone
Men Mobile Data Ziyada Battery Use Karta Lakin Wifi Itna Battery Use Nhi Karta
Ap Wifi Se Connect Kar K Internet Chala Kar Dekh Len Ap Ko Battery Timing Ka
Wazy Fark Nazar Aiga For Example Ap K Mobile Men Full Battery Ho Aor Ap Laga Tar
3 Ghante Mobile Data se Internet Chalane Par battery Low Hojati Hai Kabhi Ap
Wifi Par Chala Kar Dekhen Wahi Mobile Kam Se Kam 4-5 Ghante Aram Ss Chal jaiga
Is Ka Matlab Ap Asani Se apne Mobile Ki Batery Ko Barha (Increase) Sakte Hain
9 Storage.
Agar Ap k Mobile Ki Storage Full Hai To Is Se Kafi Had Tak Battery use
Horhi Hoti Hai Mobile bhi Kafi Slow Ho Jata Hai Is Liye Ap Ko Chahiye K Ap
Mobile K Faltu Data Ko Delete Karlen Agar Ap Chahte Hain Ap Ka Mobile Bilkul Ap
Ko New Feel Dikhne Aor Chalane Men To Ap Restore Karlen Is Se Mobile Apka Fast
Bhi Hojaiga
10 Gps.
Gps Ko Hamesha Off Rakhen Aksar Log Is Par Dihan Nhi Dete Ye Ek Bari Waja
Hai Jis Se Battery Ziyada jaldi Khatam Hojato Hai
Umeed Karta Houn Mere Batai Gai Tips Ap Ko Pasand Ai Honge Agar Ap Chahte
Hain Ap K Mobile ki battery Jaldi Khatam Na Ho Jai Aor Ziyada Time Tak Chale To
In Tips Ko Follow Karen Ye Tips Bilkul Simple Hain Jin Ko Ap Follow Kar K 50%
Tak Battery Bacha Sakte Hain Battery Ki Life Barhane K liye Main Bhi In hi Tips
Ko Follow Karta Houn In Tips Ko Ap Zaroor Follow Karen Ap Ko Saaf Pata Chalega K
K Pehle Se Battery Thori Kharch Horhi Hai Agar Tips Ache Lagen to Comment Zaroor
Karen
0 comments:
Post a Comment
Thanks..