Gallery And Data Ko Lock/Hidden Karne Ka Tarika (Android)

Android Mobile Ne Dhoom Macha Rakhi Hai Kion k Android Mobile Ki Tareef Kiye Baghair Ham Reh Nhi Sakte Waaki Android Mobile Tareef K Hi Layak Hai Kion K Ham Android Par Woh Kam Kar Sakte Hain Jo Ham Java Aor Symbian Mobile Men Nhi Kar Sakte Is Liye Sab K Pass Android/Smart Phones Hain Har Kisi Ki Koi Na Koi Personle Data Hote Hain Lakin hamen Android Men Pattren,Password Lagana Behtar Nhi Lagta Kion K Ham sirf Us data Par Password Lagana Chahte Hain Jo Data personle Ho Aj Main Yahi Bataounga K Android/Smart Phone Men personal Data Kaise Safe Rakhte hAin Kion K Aksar Ap Ka Mobile Charging Ya kisi Jaga rakha Hota Hai To Ap Ka Mobile Ko Bacha Ya koi Friends Family Men se Ap K Personal Message Read Kar Lete Hain Ya Ap Ki Koi Personal Cheez dekh Lete Hain Jo ap Kisi K Sath share nhi Karna Chahte Hain To Ap Ap Ne Personal Data ko Asani Se Lock Kar Sakte hain Woh Bhi Asani se
Waise To Ap Ko Playstore par Kafi apps Mil Jainge Jis Se Ap Apna Data Ko Lock Kar sakte Hain Un Men Se Ek Popular Apps K "Applock" Hai kion K Iska Istimal Bahut Asani Se Kar Sakte Hain
Ab Men Ap Ko Mukamal Tarika Batounga K Kis Tarha Applock Install Karen Aor Us se Kis Tarha Apna Data Safe/Lock Karen Aor Is K Ilawa ap Ko Main Bataounga k  Kisi Photo/Video Ko Hidden Kaise Karte Hain..


Lock Lagane Wale Important Data Ki Information

PlayStore

Ap Playstore Par Bhi Passwpord/Pattren Laga Sakte Hain Jab koi Aor Apka Mobile Men "Playstore" Open Karne Ki koshish Karega Lakin Un Ko Password jany Baghair Woh Playstore Open nhi Kar Sakte
Kooshish Karega To Usy Password/Pattren Show Hoga Jo Ap Ne set Kia Ta

Income Call

Ap Income Call Par Bhi Password/Pattren Laga sakte Hain Jis Se ap Ki Koi Ki gai Call Ya Recive Ki Gai Call Nhi Dekh Sakenge 

Install unInStall

Ap "install/Uninstall" Par Bhi Password/Pattren Laga Sakte Hain Is se Koi Password K Baghaira Na Hi Apps Install Kar Sakte Hain aor Na Hi Uninstall

Setting

"Setting" Par Password Lagana Bhi Zarori Hota Hai Shayad Ap Ne Note Kia Hoga Jab bhi Bachy Mobile Chalate hain Woh  Mobile Ki Setting Zaroor Kharab Kar Dete Hain

Task Manager

"TASK Manager" Men Ap Kisi Apps ko "Uninstal" Aor "Ram Clear" Etc Kar Sakte Hain "Applock" Se Ap Task manager Par Bhi Password/Pattren Laga Sakte Hain

Wifi

Ap "Applock" Ki Madad Se "Wifi" Par Bhi Password/Pattren Laga Sakte hain Mere Kehne Ka Matlab K Ap K Ilawa Koi Aor Wifi Ka Option Open Nhi Kar Sakta 

Bluetooth

Ap "BlueTooth" Par Bhi Password/Pattren laga Sakte hain is Ka Faida Ye Ha K Ap Ka Koi Data Share Nhi Kar Sakta Matlab "Bluetooth" Baghair Password/Pattren K Nhi Chakega

Mobile Data

Ap Mobile Data Par Password/Pattren Laga Sakte Hain Kion k ap Kabhi Ghalti Se Ya Koi Aor Insan Ap Ka Mobile Utha Kar InterNet Chalana Shuru Kar Dete Hai ab Ap "Mobile Data" Par Bhi Password/Pattren Laga Sakte Hain Iska Matlab Bs ap Hi Mobile Data Open Kar Sakenge

Message

Takreeban Sab Mobile Men personal "Message" Zaroor Hote Hain Ap Nhi Chahte K Ap K Ilawa Koi Message Read Na Kar Saken aor Na Hi kisi Ko Message Kar Saken ti G han

AP "applock" Ki Madad Se Message Par Bhi Lock Laga Sakte Hain
Is k Ilawa Ap 
GALLERY,Video Player,Gmail,Email,Aor Woh Sab apps Jo Ap K Mobile Men Install Hongy Un Par Lock/Password Laga Sakte Hain

Data Lock Karne Ka Tarika

1:- Sab Se Pehle "AppLock" Download Karen (Click Here)
2:- Download Hone K Bad Install Kar K "Applock" Open Karen Open K Bad Sab se Pehle Ap Ko "New Password" Lagana Hai 
3:- Ab Ap Box Men Apna "New Password" Likh Kar Ok Par Tap Karden Phir Next Option Aiga K Apko Apna Password Dobara Dena Hai Ab ap Ne Jo Pehle Password "Applock" Men Likha Woh Ap Dobara Likhen "Ok" Kar Den
4:- Ab Ap Apni Email De kar Save Karlen 
(Email Is Liye Dena Lazmi Hai Agar Ap ko Apna password Bhool Jai To Ap Email K Zariye Apna Password recover Kar Sakte Hain)
5:- Ab Ap K Samne Ap Ka Mobile ka Data Show Ho Raha hoga Ab ap ne Jis Par "Lock" Lagana Hai Us Apps/Folder K Samne Ek Lock Ka "icon" Hoga Us Sy Ap Tick Karte Jayn  un Par "Lock" Laagta Jaiga

Apni Marzi Ka Pattren/Pin lagain

Agar Ap Ko "Pin Password" Munasib Nhi Lag Raha Ap Chahte Hain K "Applock" Ap Pattren Set Karen to Men Ap Ko Bata Raha houn K "Pattren" Kaise Lagate Hain
1:- "Applock" Open Karen 
2:- "Menu" Icon Open Kareb
3:- Ab Setting Open Karen
Is Men Ap Ko 2 Option Show Honge '1st:- Password Lock" Aor "2nd:- Pattren Lock" 
4:- "Pattren Lock" Choose Karen 
Ab Ap Jo Pattren Lagana Chahte hain "Draw" Karen Draw Karne K Bad Dobara Apko Draw Karna Hai Jaisa k Ap Ne Pehle Draw Kia hai
5:- Ab Ap "Save" Karlen
Ab Ap ne Jis Apps Etc Par Lock Lagaya Ta To Jab Koi Open Karega To "Applock" Pattren Show Karega K 

Theek Pattren Dalne Par Hi Woh Apps Open Hoga..

Photos/videos Hidden Karen

Agar Ap Nhi Chahte K Ap K Mobile Men Jo Photos/Videos Hain un par Code Lagayn Ap Nhi Chahte K Kisi Ko Pata Chale K Ap K Mobile Men koi Persnal Videos/Photos Hain To Ap Apni Persnal Photos/Videos Ko Hide Bhi Kar Sakte Hain chaliye Ap Ko Tarika Batate Hain

Photos/videos hidden karne ka tarika

1:- "AppLock" Open Karen
2:- "Menu" Icon Open Karen
3:- "Photo Vault/Video Vault" Open Karen
4:- Ab Gallery Ka Icon Sath Men "+" Ka Sign Show Ho Raha Hoga Us Par Tap Karen Jaisa K picture Men Dikhaya Gaya hai..
5:- Ab Ap Ko Mobile Men Save Tamam Picture/videos Ap K Samne Show Ho Rahi Honge Un Ko "Mark" Kar K "lock" K Icon Par Tap Karen Phir "Ok"

Hidden Photos/Videos ko "Show" Karne Ka tarika

 Ap Ne Jo Picture/Videos Ko Vault Men Dali Hain Woh Ab xGallery Men Show Nhi Hongi Agara Ap Unhen Dekhna Chahte Hain Ya Vault Se Un hidden Karna Chahte Hain To 
1:- "Applock" Open Kareb
2:- Menu Par Click Karen.


3:- "Photos/Videos Vault" Open Karen Ab Ap K Samne Tamam Hidden "Pictures/videos" Ajaingi

0 comments:

Post a Comment

Thanks..

Powered by Blogger.